Zindagi to bewafa hai
Ek din thukrayegi
Maut mehbooba hai
Apne saath lekar jaayegi
Mar ke jeene ki adaa jo
Duniya ko sikhlaayega
Woh muqaddar ka Sikandar
Woh muqaddar ka Sikandar
Jaan-e-man kehlayega
Hamne mana yeh zamanaa dard ki jaageer hai
Har kadam pe aansuon ki ik nai zanjeer hai
Haal-e-gham par jo khushi ke geet gata jaayega
Woh muqaddar ka Sikandar
Woh muqaddar ka Sikandar
Jaan-e-man kehlayega