Zindagi ek safar hai suhanaa..,
Yahan kal kya ho, kisne jaana..
Chand taaron se, chalna hai aage,
Asmaanon se badhna hai aage..
Peechhe reh jayega, yeh zamanaa..
Haste gaate jahan se guzarr,
Duniyaa ki tu, parvah na kar,
Muskuraate hue, din bitanaa,
Yahan kal kya ho, kisne jaanaa..
Maut aani hai, ayegi ek din
Jaan jaani hai, jayegi ek din
Aisi baaton se kya ghabrana
Yahan kal kya ho kisne jaana