Budaapa


Budaapa ka ahasaas
Hone lagaa hai mujhe.

Kuch yaad nahi aati
Jab jo kuch bhi yaad aati
Turant usse bula deta hoon.

Koi ummeed nahi rakta hoon
Aanay waale kal kaa
Ummeedein uljhan paida karte hai.

Jab ye kaal chakr ki
Kal aur kal ki khayal choot jaati
Toh ek sukoon ke saat
Takaan bhi mahsoos hoti hai.

Kaal ka jaal se chutkaara
Kub milegi, bas yahi ek chinta
Aaj kal mujhe sataati hai.

Leave a comment