Hahn, dil toh hai deewana
Lekin maine paaliya
Uspe poora kaaboo
Jo dil kal thak
Dhadak tha raha
Har pal, har lumha.
Dil aur dimaag ko
Nazar andaaz karne se
Jo sukoon milta hai
Aur aagay jaake
Sach milta hai
Zindagi ki maqsad
Poori hoti hai, ki
Aur koi raasta nahi
Sam-azdaar ke paas.
Agar iss meri sonch may
Koi galati ho rahi hain
Toh Khuda chodega nahi
Kahegaa, "Naa samajh
Le ye aur ek zindagi
Abhi toh bhi teekh se guzaar
Ye jo zindagi tujhe sonp raha hoon
Aur samajh zindagi kya cheez hain."